Shayari
kisi ke yaad karne kaa agar hoti sabab hichki
miraa mahbub ho kar ke pareshaan mar gayaa hotaa
baat aati hai doston ki jab
mujh ko dushman 'aziz lagte hain
بات آتی ہے دوستوں کی جب
مجھ کو دشمن عزیز لگتے ہیں
बात आती है दोस्तों की जब
मुझ को दुश्मन 'अज़ीज़ लगते हैं

kisi ke yaad karne kaa agar hoti sabab hichki
miraa mahbub ho kar ke pareshaan mar gayaa hotaa
sochtaa huun kyaa miraa bantaa khudaa ke saamne
gar na hotaa yaa-rasulullah sahaaraa aap kaa
bahut aasaan lafzon mein ye us ne kah diyaa ham se
nahin tum se mohabbat jaao jo karnaa hai so kar lo
jab bhi chumaa hai tire honTon ko
jism se un ko judaa jaanaa hai
abhi to aur baDhegi ye tishnagi dil ki
abhi to aur bhi zyaada vo yaad aaeinge
main tum se duur rah kar kis tarah ye tum ko samjhaaun
ki mujh se duur rah kar kis qadar ho tum akeli
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
vo habib ho ki rahbar vo raqib ho ki rahzan
jo dayaar-e-dil se guzre use ham-kalaam kar lo
tazkire mein tire ik naam ko yuun joD diyaa
doston ne mujhe shishe ki tarah toD diyaa
ham ko yaaron ne yaad bhi na rakhaa
'jaun' yaaron ke yaar the ham to
ai dost is zamaan-o-makaan ke azaab mein
dushman hai jo kisi ko duaa-e-hayaat de
tikhe to ho pa sach kaho us vaqt kyaa karo
tum ko gale lagaa le agar pyaar se koi