Shayari
ayaadat ko aae shifaa ho gai
miri ruuh tan se judaa ho gai
dil toD diyaa us ne ye kah ke nigaahon se
patthar se jo Takraae vo jaam nahin hotaa
دل توڑ دیا اس نے یہ کہہ کے نگاہوں سے
پتھر سے جو ٹکرائے وہ جام نہیں ہوتا
दिल तोड़ दिया उस ने ये कह के निगाहों से
पत्थर से जो टकराए वो जाम नहीं होता

ayaadat ko aae shifaa ho gai
miri ruuh tan se judaa ho gai
tere qadmon ki aahaT ko ye dil hai DhunDtaa har dam
har ik aavaaz par ik thartharaahaT hoti jaati hai
puchhte ho to suno kaise basar hoti hai
raat khairaat ki sadqe ki sahar hoti hai
shama huun phuul huun yaa ret pe qadmon kaa nishaan
aap ko haq hai mujhe jo bhi ji chaahe kah lein
aaghaaz to hotaa hai anjaam nahin hotaa
jab meri kahaani mein vo naam nahin hotaa
hansi thami hai in aankhon mein yuun nami ki tarah
chamak uThe hain andhere bhi raushni ki tarah
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
zulekhaa be-khirad aavaara lailaa bad-maza shirin
sabhi majbur hain dil se mohabbat aa hi jaati hai
zaalim tu meri saada-dili par to rahm kar
ruThaa thaa tujh se aap hi aur aap man gayaa
vahshat-e-dil koi shahron mein samaa sakti hai
kaash le jaae junun su-e-bayaabaan mujh ko
yuun tiri yaad mein din raat magan rahtaa huun
dil dhDaknaa tire qadmon ki sadaa lagtaa hai