Shayari
naala kartaa huun log sunte hain
aap se meraa kuchh kalaam nahin
Q
Qalaq Merathizulekhaa be-khirad aavaara lailaa bad-maza shirin
sabhi majbur hain dil se mohabbat aa hi jaati hai
زلیخا بے خرد آوارہ لیلیٰ بد مزا شیریں
سبھی مجبور ہیں دل سے محبت آ ہی جاتی ہے
ज़ुलेख़ा बे-ख़िरद आवारा लैला बद-मज़ा शीरीं
सभी मजबूर हैं दिल से मोहब्बत आ ही जाती है
naala kartaa huun log sunte hain
aap se meraa kuchh kalaam nahin
amn aur tere ahd mein zaalim
kis tarah khaak-e-rahguzar baiThe
har sang mein kaabe ke nihaan ishva-e-but hai
kyaa baani-e-islaam bhi ghaarat-gar-e-din thaa
ham us kuche mein uThne ke liye baiThe hain muddat se
magar kuchh kuchh sahaaraa hai abhi be-dast-o-paai kaa
be-takalluf maqaam-e-ulfat hai
daagh uTThe ki aabla baiThe
tu hai harjaai to apnaa bhi yahi taur sahi
tu nahin aur sahi aur nahin aur sahi
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
dhokaa thaa nigaahon kaa magar khuub thaa dhokaa
mujh ko tiri nazron mein mohabbat nazar aai
dilkashi thi unsiyat thi yaa mohabbat yaa junun
sab maraahil tujh se jo mansub the achchhe lage
ishq sunte the jise ham vo yahi hai shaayad
khud-bakhud dil mein hai ik shakhs samaayaa jaataa