Shayari
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
us ke dar par to kisi ki bhi rasaai na hui
le ke sayyaad qafas ko jo idhar se guzraa
اس کے در پر تو کسی کی بھی رسائی نہ ہوئی
لے کے صیاد قفس کو جو ادھر سے گزرا
उस के दर पर तो किसी की भी रसाई न हुई
ले के सय्याद क़फ़स को जो इधर से गुज़रा

kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
shaghl-e-ulfat ko jo ahbaab buraa kahte hain
kuchh samajh mein nahin aataa ki ye kyaa kahte hain
itnaa mardud huun ki Dar hai mujhe
qabr se pheink de zamin na kahin
apni kashti kaa hai khudaa haafiz
pichhe tufaan hai saamne girdaab
kyuun paas mire aa kar yuun baiThe ho munh phere
kyaa lab tire misri hain main jin ko chabaa jaataa
churaa ke muTThi mein dil ko chhupaae baiThe hain
bahaanaa ye hai ki mehndi lagaae baiThe hain
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
hamein tanhaaiyon mein yuun to kyaa kyaa yaad aataa hai
magar sach puchhiye to ek chehraa yaad aataa hai
rah-e-ishq-o-vafaa bhi kucha-o-baazaar ho jaise
kabhi jo ho nahin paataa vo saudaa yaad aataa hai
ishq ko husn ke atvaar se kyaa nisbat hai
vo hamein bhuul gae ham to unhein yaad karein
pahle us ko yaad kiyaa hai
phir aansu ijaad kiyaa hai