Shayari
nahin kuchh abr hi shaagird meri ashk-baari kaa
sabaq leti hai mujh se barq bhi aa be-qaraari kaa
M
Meer Mohammadi Bedar'bedaar' raah-e-ishq kisi se na tai hui
sahraa mein qais koh mein farhaad rah gayaa
بیدارؔ راہ عشق کسی سے نہ طے ہوئی
صحرا میں قیس کوہ میں فرہاد رہ گیا
'बेदार' राह-ए-इश्क़ किसी से न तय हुई
सहरा में क़ैस कोह में फ़रहाद रह गया
nahin kuchh abr hi shaagird meri ashk-baari kaa
sabaq leti hai mujh se barq bhi aa be-qaraari kaa
kis tarah haal-e-dil kahun us gul se baagh mein
phirti hai us ke saath to har-dam sabaa lagi
junun ne dast-kaari aisi bhi ki
na thaa goyaa garebaan pairahan mein
ayaan hai shakl tiri yuun hamaare siina se
ki juun sharaab numaayaan ho aabgina se
saaye se apne vahshat karte hain misl-e-aahu
mushkil hai haath lagnaa az-khud ramidgaan kaa
jaataa hai chalaa qaafila-e-ashk shab o roz
maalum nahin us kaa iraada hai kahaan kaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
vo log jo ki 'ishq ke ab tak asiir the
guzri kahaaniyon ke fasaane lage mujhe
shaikh le hai raah kaabe ki barahman dair ki
ishq kaa rasta judaa hai kufr aur islaam se
ghaur se dekho mujhe aur phir kaho
kaise kaison ko mohabbat khaa gai
roz milne pe bhi lagtaa thaa ki jug biit gae
ishq mein vaqt kaa ehsaas nahin rahtaa hai