Shayari
yahi hai vaqt ki ji bhar ke dekh luun us ko
vo saamne hai magar dekhtaa nahin hai mujhe
darmiyaan garche hijaabaat nahin duuri ke
ab jo haail hai vo parda hai shanaasaai kaa
درمیاں گرچہ حجابات نہیں دوری کے
اب جو حائل ہے وہ پردہ ہے شناسائی کا
दरमियाँ गरचे हिजाबात नहीं दूरी के
अब जो हाइल है वो पर्दा है शनासाई का

yahi hai vaqt ki ji bhar ke dekh luun us ko
vo saamne hai magar dekhtaa nahin hai mujhe
didaar kaa visaal mein aayaa na koi lutf
us rukh pe be-rukhi ke the parde paDe hue
ghaur se dekh gulshan-e-duniyaa
har taraf khvaahishon kaa daldal hai
bajaa ki raunaq-e-mahfil abhi uruuj pe hai
main kyaa karun miri khalvat bulaa rahi hai mujhe
gulshan-e-dahr se khushbu ki tarah guzraa main
sab ko mahkaayaa magar apni numaaish nahin ki
in duriyon ne aur baDhaa di hain qurbatein
sab faasle vabaa ki tavaalat se miT gae
ye paDi hain sadiyon se kis liye tire mere beach judaaiyaan
kabhi apne ghar tu mujhe bulaa kabhi raaste mire ghar ke dekh
vo paas ho ke duur hai to duur ho ke paas
firaaq aur visaal hain ajiib ajiib se
hijr mein vaise bhi aati hai musibat jaan par
par raqibon ki alag hai khanda-kaari haae haae
firaaq-rut mein bhi kuchh lazzatein visaal ki hain
khayaal hi mein tire khaal-o-khad ubhaaraa karein
kabhi kabhi to ye dil mein savaal uThtaa hai
ki is judaai mein kyaa us ne paa liyaa hogaa