Shayari
yahi hai vaqt ki ji bhar ke dekh luun us ko
vo saamne hai magar dekhtaa nahin hai mujhe
ghaur se dekh gulshan-e-duniyaa
har taraf khvaahishon kaa daldal hai
غور سے دیکھ گلشن دنیا
ہر طرف خواہشوں کا دلدل ہے
ग़ौर से देख गुलशन-ए-दुनिया
हर तरफ़ ख़्वाहिशों का दलदल है

yahi hai vaqt ki ji bhar ke dekh luun us ko
vo saamne hai magar dekhtaa nahin hai mujhe
didaar kaa visaal mein aayaa na koi lutf
us rukh pe be-rukhi ke the parde paDe hue
bajaa ki raunaq-e-mahfil abhi uruuj pe hai
main kyaa karun miri khalvat bulaa rahi hai mujhe
gulshan-e-dahr se khushbu ki tarah guzraa main
sab ko mahkaayaa magar apni numaaish nahin ki
darmiyaan garche hijaabaat nahin duuri ke
ab jo haail hai vo parda hai shanaasaai kaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
nikal gayaa miri aankhon se misl-e-khvaa-o-khayaal
guzar gayaa dil-e-raushan se vo nazar ban kar
ye dil kab ishq ke qaabil rahaa hai
kahaan is ko dimaagh o dil rahaa hai
dil toD diyaa us ne ye kah ke nigaahon se
patthar se jo Takraae vo jaam nahin hotaa
toD kar kaabe ko masjid na banaao zaahid
khaana-barbaad kisi dil hi mein kar ghar paidaa