Shayari
dard-e-sar hai khumaar se mujh ko
jald le kar sharaab aa saaqi
mohabbat tu mat kar dil us bevafaa se
dil us bevafaa se mohabbat tu mat kar
محبت تو مت کر دل اس بے وفا سے
دل اس بے وفا سے محبت تو مت کر
मोहब्बत तू मत कर दिल उस बेवफ़ा से
दिल उस बेवफ़ा से मोहब्बत तू मत कर

dard-e-sar hai khumaar se mujh ko
jald le kar sharaab aa saaqi
ek bulbul bhi chaman mein na rahi ab ki fasal
zulm aisaa hi kiyaa tu ne ai sayyaad ki bas
jis kaa goraa rang ho vo raat ko khiltaa hai khuub
raushnaai shama ki phiki nazar aati hai subh
jab talak rahe jiitaa chaahiye hanse bole
aadmi ko chup rahnaa maut ki nishaani hai
aatish-e-ishq mein jo jal na marein
ishq ke fan mein vo anaari hain
kis kis tarah ki dil mein guzarti hain hasratein
hai vasl se ziyaada mazaa intizaar kaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mohabbat phuul banne par lagi thi
palaT kar phir kali kar li hai main ne
kuchh aur vus'atein darkaar hain mohabbat ko
visaal-o-hijr pe daar-o-madaar mushkil hai
niind ke ghar mein hain khvaab aane lage
'ishq hai naachtaa aankh ke sahn mein
naqsh-e-qadam hain raah mein farhaad-o-qais ke
ai ishq khinch kar mujhe laayaa idhar kahaan