Shayari
TuuTe dil ko banaa dikhaave
aisaa koi kaari-gar na dekhaa
doston se dushmani aur dushmanon se dosti
be-muravvat bevafaa be-rahm ye kyaa Dhang hai
دوستوں سے دشمنی اور دشمنوں سے دوستی
بے مروت بے وفا بے رحم یہ کیا ڈھنگ ہے
दोस्तों से दुश्मनी और दुश्मनों से दोस्ती
बे-मुरव्वत बेवफ़ा बे-रहम ये क्या ढंग है

TuuTe dil ko banaa dikhaave
aisaa koi kaari-gar na dekhaa
saaf dil hai to aa kudurat chhoD
mil har ik rang biich aab ki tarah
muddat se khvaab mein bhi nahin niind kaa khayaal
hairat mein huun ye kis kaa mujhe intizaar hai
kapDe safed dho ke jo pahne to kyaa huaa
dhonaa vahi jo dil ki siyaahi ko dhoiye
tere aane se yu khushi hai dil
juun ki bulbul bahaar ki khaatir
tabibon ki tavajjoh se maraz hone lagaa duunaa
davaa is dard ki batlaa dil-e-aagaah kyaa kiije
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
aql kahti hai dobaara aazmaanaa jahl hai
dil ye kahtaa hai fareb-e-dost khaate jaaiye
aaina khud bhi sanvartaa thaa hamaari khaatir
ham tire vaaste tayyaar huaa karte the
ye vaqt kaifiyaat se bhartaa nahin kabhi
ye jaam ikhtiyaar nahin kar rahaa huun main
zindagi sundar ghazal hai dosto
zindagi ko gungunaanaa chaahiye
us ke meaar par khudaa laae
us nazar tak to aa gae hain ham