Shayari
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
kaifiyyatein attaar ke launDe mein bahut thiin
is nuskhe ki koi na rahi haif davaa yaad
کیفیتیں عطار کے لونڈے میں بہت تھیں
اس نسخے کی کوئی نہ رہی حیف دوا یاد
kaifiyyateñ attār ke lauñDe meñ bahut thiiñ
is nusḳhe kī koī na rahī haif davā yaad

jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
dil ki yak qatra khuun nahin hai besh
ek aalam ke sar balaa laayaa
mire saliqe se meri nibhi mohabbat mein
tamaam umr main naakaamiyon se kaam liyaa
chalte ho to chaman ko chaliye kahte hain ki bahaaraan hai
paat hare hain phuul khile hain kam-kam baad-o-baaraan hai
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
zaraa yaadon ke hi patthar uchhaalo
navaah-e-jaan mein sannaaTe bahut hain
udaasi shaam tanhaai kasak yaadon ki bechaini
mujhe sab saunp kar suraj utar jaataa hai paani mein
jab bhi fursat mili hangaama-e-duniyaa se mujhe
meri tanhaai ko bas teraa pata yaad aayaa
garmi-e-ishq khilaa deti hai gaalon pe gulaab
yaad aate hain jo lamhaat gai raaton ke
aaj jab chaandni utri thi mire aangan mein
chaand kis lamha huaa mujh se khafaa yaad aayaa