Shayari
dil ke gulshan mein tire pyaar ki khushbu paa kar
rang rukhsaar pe phulon se khilaa karte hain
garmi-e-ishq khilaa deti hai gaalon pe gulaab
yaad aate hain jo lamhaat gai raaton ke
گرمئ عشق کھلا دیتی ہے گالوں پہ گلاب
یاد آتے ہیں جو لمحات گئی راتوں کے
गर्मी-ए-इश्क़ खिला देती है गालों पे गुलाब
याद आते हैं जो लम्हात गई रातों के

dil ke gulshan mein tire pyaar ki khushbu paa kar
rang rukhsaar pe phulon se khilaa karte hain
husn-o-jamaal-o-zist ki aaraaishein fuzul
ishq-o-junun ki aag jo dil mein javaan na ho
lo hamaaraa javaab le jaao
ye mahaktaa gulaab le jaao
Thiik hai jaao ta'alluq na rakheinge ham bhi
tum bhi vaada karo ab yaad nahin aaoge
jin ke mazbut iraade bane pahchaan un ki
manzilein aap hi ho jaati hain aasaan un ki
khvaahishein khvaab dikhaati hain tire milne kaa
khvaab se kah de ki taabir ki surat aae
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
tah kar chuke bisaat-e-gham-o-fikr-e-rozgaar
tab khaanqaah-e-ishq-o-mohabbat mein aae hain
ishq se baaz aate ham divaane kyaa
thi samajh ki baat ham samjhe nahin
jab vafaa hi nahin zamaane mein
ishq sar par savaar kaun kare
ye qadam qadam balaaein ye savaad-e-ku-e-jaanaan
vo yahin se lauT jaae jise zindagi ho piyaari