Shayari
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
kaun letaa thaa naam majnun kaa
jab ki ahd-e-junun hamaaraa thaa
کون کہتا ہے نہ غیروں پہ تم امداد کرو
ہم فراموشیوں کو بھی کبھو یاد کرو
kaun letā thā naam majnūñ kā
jab ki ahd-e-junūñ hamārā thā

jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
dil ki yak qatra khuun nahin hai besh
ek aalam ke sar balaa laayaa
mire saliqe se meri nibhi mohabbat mein
tamaam umr main naakaamiyon se kaam liyaa
chalte ho to chaman ko chaliye kahte hain ki bahaaraan hai
paat hare hain phuul khile hain kam-kam baad-o-baaraan hai
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
yaad nahin kyaa kyaa dekhaa thaa saare manzar bhuul gae
us ki galiyon se jab lauTe apnaa bhi ghar bhuul gae
aa gayaa yaad unhein apne kisi gham kaa hisaab
hansne vaalon ne mire ashk jo gin ke dekhe
ek jhonkaa is tarah zanjir-e-dar khaDkaa gayaa
main ye samjhaa bhulne vaale ko main yaad aa gayaa
jab jab tum ko yaad karein ham
tab tab baarish ho jaati hai