Shayari
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
umr guzri davaaein karte 'mir'
dard-e-dil kaa huaa na chaara hanuz
عمر گزری دوائیں کرتے میرؔ
درد دل کا ہوا نہ چارہ ہنوز
umr guzrī davā.eñ karte 'mīr'
dard-e-dil kā huā na chāra hanūz

jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
dil ki yak qatra khuun nahin hai besh
ek aalam ke sar balaa laayaa
mire saliqe se meri nibhi mohabbat mein
tamaam umr main naakaamiyon se kaam liyaa
chalte ho to chaman ko chaliye kahte hain ki bahaaraan hai
paat hare hain phuul khile hain kam-kam baad-o-baaraan hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
vo sang-dil angusht-ba-dandaan nazar aave
aisaa koi sadma miri jaan par nahin hotaa
main divaanaa huun sadaa kaa mujhe mat qaid karo
ji nikal jaaegaa zanjir ki jhankaar ke saath
deri se milne kaa jo gham tujh ko pareshaan kar rahaa
ai dost ham bhi hain usi taakhir ke maare hue
dhuup jaaDaa dard duniyaa bhuuk patthar pyaas aansu
jaane kis kis se milaa huun zindagi tere liye