Shayari
thi kal dayaar-e-'ishq mein 'iduzzuhaa 'miraash'
ham kyaa galaa kaTaate 'ajab bheD-chaal thi
jo mere banne se pahle ik intizaar banaa
us intizaar ke andar main baar baar banaa
جو میرے بننے سے پہلے اک انتظار بنا
اس انتظار کے اندر میں بار بار بنا
जो मेरे बनने से पहले इक इंतिज़ार बना
उस इंतिज़ार के अंदर मैं बार बार बना

thi kal dayaar-e-'ishq mein 'iduzzuhaa 'miraash'
ham kyaa galaa kaTaate 'ajab bheD-chaal thi
ghar palaT kar jo miri raushan-khayaali aai hai
shor hai shahr-e-sukhan mein phir divaali aai hai
khanak rahaa huun main nashshe mein chaabiyon ki tarah
khuli hai pyaas magar mai-kade pe taalaa hai
kis gardish-e-paiham mein miraa sho’la-e-dil hai
jaltaa hai lahu roghan-e-khurshid ki surat
khutut aag mein jalte hain aur sikhon par
kisi kaa dil to jigar hai kisi parinde kaa
gard aainon ki chaaron taraf hai jami hui
'aalam 'ajib shisha-gari ki dukaan hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
tark-e-ulfat ke baa'd bhi 'ashfaaq'
teraa rahtaa hai intizaar mujhe
ye ek lamhe ki duuri bahut hai mere liye
tamaam umr tiraa intizaar karne ko
shab-e-firaaq ki zulmat hai naa-gavaar mujhe
naqaab uThaa ki sahar kaa hai intizaar mujhe
ye intizaar nahin shama hai rifaaqat ki
is intizaar se tanhaai khub-surat hai