Shayari
halqa-e-dil se na niklo ki sar-e-khucha-e-khaak
aish jitne hain isi kunj-e-kam-aasaar mein hain
ye intizaar nahin shama hai rifaaqat ki
is intizaar se tanhaai khub-surat hai
یہ انتظار نہیں شمع ہے رفاقت کی
اس انتظار سے تنہائی خوبصورت ہے
ये इंतिज़ार नहीं शम्अ है रिफ़ाक़त की
इस इंतिज़ार से तन्हाई ख़ूब-सूरत है

halqa-e-dil se na niklo ki sar-e-khucha-e-khaak
aish jitne hain isi kunj-e-kam-aasaar mein hain
miraa hi siina kushaada hai chaahaton ke taiin
tufang-e-dard miraa hi nishaanaa chaahti hai
ye duniyaa akbar zulmon ki ham majburi ki anaarkali
ham divaaron ke biich mein hain ham nargha-e-jabr-o-jalaal mein hain
gham-e-jahaan o gham-e-yaar do kinaare hain
udhar jo Duube vo aksar idhar nikal aae
ishq marhun-e-hikaayaat-o-gumaan bhi hogaa
vaaqia hai to kisi taur bayaan bhi hogaa
zamin ke paas kisi dard kaa ilaaj nahin
zamin hai ki mire ahd ki siyaasat hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ajal bhi Tal gai dekhi gai haalat na aankhon se
shab-e-gham mein musibat si musibat ham ne jheli hai
bahaar dard bharaa iqtibaas chhoD gai
har ik shajar kaa badan be-libaas chhoD gai
dasht ki naa-tamaam raahon par
koi saathi hai to shajar tanhaa