Shayari
khud rahm kijiye dil-e-ummid-vaar par
aaphi nikaaliye koi surat nibaah ki
M
Mirza Maseeta Beg Muntahisadaa-e-qulqul-e-minaa mujhe nahin aati
mire savaal kaa shishe mein kuchh javaab nahin
صدائے قلقل مینا مجھے نہیں آتی
مرے سوال کا شیشے میں کچھ جواب نہیں
सदा-ए-क़ुलक़ुल-ए-मीना मुझे नहीं आती
मिरे सवाल का शीशे में कुछ जवाब नहीं
khud rahm kijiye dil-e-ummid-vaar par
aaphi nikaaliye koi surat nibaah ki
tere baazaar-e-dahr mein gardun
ham bhi aae hain ik qabaa ke liye
jalaa kar zaahidon ko mai-kashon ko shaad karte hain
giraa kar masjidon ko mai-kade aabaad karte hain
piiri hui shabaab se utraa jhaTak gayaa
shaaer huun meraa misra-e-saani laTak gayaa
baad marne ke Thikaane lag gai miTTi miri
khaak se aashiq ki kyaa kyaa yaar ke saaghar bane
tohmat-e-jurm-o-khataa hirs-o-havaa ghaflat-e-dil
ham ne baazaar se hasti ke liyaa kyaa kyaa kuchh
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
lahu na ho to qalam tarjumaan nahin hotaa
hamaare daur mein aansu zabaan nahin hotaa
ruh-o-badan mein jaari hai ik maarka-e-khun sadiyon se
ek havaala miTTi kaa hai ek havaala paani kaa
dil dard se khaali nahin ik lamha kisi taur
ye baat magar dil ke sivaa kaun kahegaa