Shayari
ham ye to nahin kahte ki ham tujh se baDe hain
lekin ye bahut hai ki tire saath khaDe hain
lahu na ho to qalam tarjumaan nahin hotaa
hamaare daur mein aansu zabaan nahin hotaa
لہو نہ ہو تو قلم ترجماں نہیں ہوتا
ہمارے دور میں آنسو زباں نہیں ہوتا
लहू न हो तो क़लम तर्जुमाँ नहीं होता
हमारे दौर में आँसू ज़बाँ नहीं होता

ham ye to nahin kahte ki ham tujh se baDe hain
lekin ye bahut hai ki tire saath khaDe hain
tahrir se varna miri kyaa ho nahin saktaa
ik tu hai jo lafzon mein adaa ho nahin saktaa
raat to vaqt ki paaband hai Dhal jaaegi
dekhnaa ye hai charaaghon kaa safar kitnaa hai
bhare makaan kaa bhi apnaa nasha hai kyaa jaane
sharaab-khaane mein raatein guzaarne vaalaa
shartein lagaai jaati nahin dosti ke saath
kiije mujhe qubul miri har kami ke saath
hamaare ghar kaa pataa puchhne se kyaa haasil
udaasiyon ki koi shahriyat nahin hoti
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kaun hai is rim-jhim ke pichhe chhupaa huaa
ye aansu saare ke saare kis ke hain
ye gham judaa hai bahut jald-baaz the ham tum
ye dukh alag hai abhi kaaenaat baaqi hai
lazzat-e-dard-e-mohabbat nahin hoti jis mein
dil vo miTTi kaa vo miTTi kaa jigar hotaa hai