Shayari
ghussa aataa hai pyaar aataa hai
ghair ke ghar se yaar aataa hai
dard-e-dil kyaa bayaan karun 'rashki'
us ko kab e'tibaar aataa hai
درد دل کیا بیاں کروں رشکیؔ
اس کو کب اعتبار آتا ہے
दर्द-ए-दिल क्या बयाँ करूँ 'रश्की'
उस को कब ए'तिबार आता है

ghussa aataa hai pyaar aataa hai
ghair ke ghar se yaar aataa hai
vo jo sharmaa gae to un ki khataa
apne zimme hamein liye hi bani
ye mansab-e-buland milaa jis ko mil gayaa
har muddai ke vaaste daar-o-rasan kahaan
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain
ye saal tul-e-masaafat se chuur chuur gayaa
ye ek saal to guzraa hai ik sadi ki tarah
kisi ki yaad manaane mein iid guzregi
so shahr-e-dil mein bahut duur tak udaasi hai