Shayari
main us ke badan ki muqaddas kitaab
nihaayat aqidat se paDhtaa rahaa
ab to chup-chaap shaam aati hai
pahle chiDiyon ke shor hote the
اب تو چپ چاپ شام آتی ہے
پہلے چڑیوں کے شور ہوتے تھے
अब तो चुप-चाप शाम आती है
पहले चिड़ियों के शोर होते थे

main us ke badan ki muqaddas kitaab
nihaayat aqidat se paDhtaa rahaa
kamre mein maze ki raushni ho
achchhi si koi kitaab dekhun
nayaa saal divaar par Taang de
puraane baras kaa calendar giraa
aur baazaar se kyaa le jaaun
pahli baarish kaa mazaa le jaaun
donon ke dil mein khauf thaa maidaan-e-jang mein
donon kaa khauf faasla thaa darmiyaan kaa
us se bichhaDte vaqt main royaa thaa khub-saa
ye baat yaad aai to pahron hansaa kiyaa
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
ghazal mein jab talak ehsaas ki shiddat na ho shaamil
faqat alfaaz ki kaarigari mahsus hoti hai
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
subh aataa huun yahaan aur shaam ho jaane ke baad
lauT jaataa huun main ghar naakaam ho jaane ke baad
kyaa kahun uubne lagaa huun 'jamaal'
ek hi jaise subh o shaam se main