Shayari
main us ke badan ki muqaddas kitaab
nihaayat aqidat se paDhtaa rahaa
donon ke dil mein khauf thaa maidaan-e-jang mein
donon kaa khauf faasla thaa darmiyaan kaa
دونوں کے دل میں خوف تھا میدان جنگ میں
دونوں کا خوف فاصلہ تھا درمیان کا
दोनों के दिल में ख़ौफ़ था मैदान-ए-जंग में
दोनों का ख़ौफ़ फ़ासला था दरमियान का

main us ke badan ki muqaddas kitaab
nihaayat aqidat se paDhtaa rahaa
kamre mein maze ki raushni ho
achchhi si koi kitaab dekhun
nayaa saal divaar par Taang de
puraane baras kaa calendar giraa
aur baazaar se kyaa le jaaun
pahli baarish kaa mazaa le jaaun
bulaa rahaa thaa koi chikh chikh kar mujh ko
kuein mein jhaank ke dekhaa to main hi andar thaa
us se bichhaDte vaqt main royaa thaa khub-saa
ye baat yaad aai to pahron hansaa kiyaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
saunp kar khaana-e-dil gham ko kidhar jaate ho
phir na paaoge agar us ne ye ghar chhoD diyaa
jo dil ne kahi lab pe kahaan aai hai dekho
ab mahfil yaaraan mein bhi tanhaai hai dekho
aql ne tark-e-taalluq ko ghanimat jaanaa
dil ko badle hue haalaat pe ronaa aayaa
tire ghayaab ko maujud mein badalte hue
kabhi main khud ko tire naam se bulaataa huaa