Shayari
kamre mein maze ki raushni ho
achchhi si koi kitaab dekhun
us se bichhaDte vaqt main royaa thaa khub-saa
ye baat yaad aai to pahron hansaa kiyaa
اس سے بچھڑتے وقت میں رویا تھا خوب سا
یہ بات یاد آئی تو پہروں ہنسا کیا
उस से बिछड़ते वक़्त मैं रोया था ख़ूब-सा
ये बात याद आई तो पहरों हँसा किया

kamre mein maze ki raushni ho
achchhi si koi kitaab dekhun
nayaa saal divaar par Taang de
puraane baras kaa calendar giraa
aur baazaar se kyaa le jaaun
pahli baarish kaa mazaa le jaaun
donon ke dil mein khauf thaa maidaan-e-jang mein
donon kaa khauf faasla thaa darmiyaan kaa
bulaa rahaa thaa koi chikh chikh kar mujh ko
kuein mein jhaank ke dekhaa to main hi andar thaa
main us ke badan ki muqaddas kitaab
nihaayat aqidat se paDhtaa rahaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
un ki yaad mein bahte aansu khushk agar ho jaaeinge
saat samundar apni khaali aaankhon mein bhar laaungaa
us ke dar par to kisi ki bhi rasaai na hui
le ke sayyaad qafas ko jo idhar se guzraa
ro diye fariyaad par meri butaan-e-sang-dil
mere naalon se pighal kar mom patthar ho gae
hamin ne hashr uThaa rakkhaa hai bichhaDne par
vo jaan-e-jaan to pareshaan bhi ziyaada nahin
use to daulat-e-duniyaa bhi kam bhi paane ko
miri to zaat kaa mizaan bhi ziyaada nahin