Shayari
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ham use anfus o aafaaq se rakhte hain pare
shaam koi jo tire gham se tahi jaati hai
ہم اسے انفس و آفاق سے رکھتے ہیں پرے
شام کوئی جو ترے غم سے تہی جاتی ہے
हम उसे अन्फ़ुस ओ आफ़ाक़ से रखते हैं परे
शाम कोई जो तिरे ग़म से तही जाती है

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
khush hue itne ki ham se pahle
maqdam-e-yaar ko aansu nikle
aaj ki raat bhi tanhaa hi kaTi
aaj ke din bhi andheraa hogaa
main to us vaqt se Dartaa huun ki vo puchh na le
ye agar zabt kaa aansu hai to Tapkaa kaise