Shayari
daaman ko zaraa jhaTak to dekho
duniyaa hai kuchh aur shai nahin hai
khush hue itne ki ham se pahle
maqdam-e-yaar ko aansu nikle
خوش ہوئے اتنے کہ ہم سے پہلے
مقدم یار کو آنسو نکلے
ख़ुश हुए इतने कि हम से पहले
मक़दम-ए-यार को आँसू निकले

daaman ko zaraa jhaTak to dekho
duniyaa hai kuchh aur shai nahin hai
dil ne lagaa diyaa hai jo ik kaam se mujhe
har dam laDaai rahti hai aaraam se mujhe
jaantaa huun in dinon kaisaa hai dariyaa kaa mizaaj
is liye saahil se thoDaa faasla rakhtaa huun main
apne hi aks kaa chakkar to nahin chaaron taraf
ki nazar aate hain ab khud ko hamin chaaron taraf
zehn par zor bhi Daalo to na yaad aauun main
is tarah parda-e-nisyaan mein chhupaa lo mujh ko
zakhmon ko ashk-e-khun se sairaab kar rahaa huun
ab aur bhi tumhaaraa chehra khilaa rahegaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ham haal to kah sakte hain apnaa pa kahein kyaa
jab vo idhar aate hain to tanhaa nahin aate
dasht ki naa-tamaam raahon par
koi saathi hai to shajar tanhaa