Shayari
aaghosh mein mahkoge dikhaai nahin doge
tum nikhat-e-gulzaar ho ham parda-e-shab hain
aaj ki raat bhi tanhaa hi kaTi
aaj ke din bhi andheraa hogaa
آج کی رات بھی تنہا ہی کٹی
آج کے دن بھی اندھیرا ہوگا
आज की रात भी तन्हा ही कटी
आज के दिन भी अंधेरा होगा

aaghosh mein mahkoge dikhaai nahin doge
tum nikhat-e-gulzaar ho ham parda-e-shab hain
gham-e-jaanaan gham-e-dauraan ki taraf yuun aayaa
jaanib shahar chale dukhtar-e-dahqaan jaise
zindagi shama ki maanind jalaataa huun 'nadim'
bujh to jaaungaa magar subah to kar jaaungaa
kis tavaqqoa pe kisi ko dekhein
koi tum se bhi hasin kyaa hogaa
ik safina hai tiri yaad agar
ik samundar hai miri tanhaai
aakhir duaa karein bhi to kis muddaaa ke saath
kaise zamin ki baat kahein aasmaan se ham
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
dil dard ki bhaTTi mein kai baar jale hai
tab ek ghazal husn ke saanche mein Dhale hai
vahi to umr mere dard-e-dil ki bhi hogi
tire shabaab kaa ye kaun saal hai pyaare
'dard' ke milne se ai yaar buraa kyuun maanaa
us ko kuchh aur sivaa diid ke manzur na thaa