Shayari
jab saamne nazar ke ho ik husn-e-be-panaah
aise mein khud ko hosh mein rakhnaa kamaal hai
meri aavaaz mire jism mein yuun gunjti hai
jaise sahraa mein koi dard ki maari aavaaz
میری آواز مرے جسم میں یوں گونجتی ہے
جیسے صحرا میں کوئی درد کی ماری آواز
मेरी आवाज़ मिरे जिस्म में यूँ गूँजती है
जैसे सहरा में कोई दर्द की मारी आवाज़

jab saamne nazar ke ho ik husn-e-be-panaah
aise mein khud ko hosh mein rakhnaa kamaal hai
zer-e-asar nahin hai kisi rahnumaa ke ham
maalik isi liye hain khud apni razaa ke ham
zindagi tu mujhe kis moD pe le aai hai
kyaa koi aur bhi guzraa hai idhar se pahle
raho ghar mein ziyaada to safar aavaaz detaa hai
safar mein jab nikal jaao to ghar aavaaz detaa hai
dil hi TuuTaa ho kuchh ajab to nahin
ashk aankhon mein be-sabab to nahin
anjaam-e-hijr kyaa hai ye tum khud hi dekh lo
ham intizaar-e-yaar mein patthar ke ho gae
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
phir zehn ki galiyon mein sadaa gunji hai koi
phir soch rahe hain kahin aavaaz suni hai
tum to sun paae na aavaaz-e-shikast-e-dil bhi
kuchh hamin the ki harif-e-gham-e-duniyaa bhi hue
raat hissa hai miri umr kaa ji lene de
zindagi chhoD ke tanhaa mujhe jaati kyuun hai