Shayari
fasaad, qatl, taassub, fareb, makkaari
safed-poshon ki baatein hain kyaa bataaun main
abhi dikhaao na tasvir-e-zindagi is ko
ye bachpanaa hai abhi muskuraanaa chaahtaa hai
ابھی دکھاؤ نہ تصویر زندگی اس کو
یہ بچپنا ہے ابھی مسکرانا چاہتا ہے
अभी दिखाओ न तस्वीर-ए-ज़िंदगी इस को
ये बचपना है अभी मुस्कुराना चाहता है

kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
apne man mein Duub kar paa jaa suraagh-e-zindagi
tu agar meraa nahin bantaa na ban apnaa to ban
zindagi ke bahut qarib na jaa
faasla kuchh to apne dhyaan mein rakh
baDe qalaq ki baat hai ki tum ise na paDh sake
hamaari zindagi to ik khuli hui kitaab thi