Shayari
meri saari zindagi ko be-samar us ne kiyaa
umr meri thi magar us ko basar us ne kiyaa
achchhi misaal bantin zaahir agar vo hotin
in nekiyon ko ham to dariyaa mein Daal aae
اچھی مثال بنتیں ظاہر اگر وہ ہوتیں
ان نیکیوں کو ہم تو دریا میں ڈال آئے
अच्छी मिसाल बनतीं ज़ाहिर अगर वो होतीं
इन नेकियों को हम तो दरिया में डाल आए

meri saari zindagi ko be-samar us ne kiyaa
umr meri thi magar us ko basar us ne kiyaa
sukhan mein sahl nahin jaan nikaal kar rakhnaa
ye zindagi hai hamaari sambhaal kar rakhnaa
shaayad ki khudaa mein aur mujh mein
ik jast kaa aur faasla hai
tum ham-safar hue to hui zindagi aziiz
mujh mein to zindagi kaa koi hausla na thaa
jis ko milnaa nahin phir us se mohabbat kaisi
sochtaa jaaun magar dil mein basaae jaaun
ik tez raad jaisi sadaa har makaan mein
logon ko un ke ghar mein Daraa denaa chaahiye
mujid jo nuur kaa hai vo meraa charaagh hai
parvaana huun main anjuman-e-kaaenaat kaa
paani mein aks aur kisi aasmaan kaa hai
ye naav kaun si hai ye dariyaa kahaan kaa hai
koi dariyaa ki taraf jaane ko tayyaar nahin
haath sab ke hain magar koi 'alam-daar nahin
qudrat ki barkatein hain khazaana basant kaa
kyaa khuub kyaa ajiib zamaana basant kaa
pahaaDon se chali phir koi aandhi
uDe jaate hain auraaq-e-khizaani
khudaa ki itni baDi kaaenaat mein main ne
bas ek shakhs ko maangaa mujhe vahi na milaa