Shayari
be-ilm shaairon kaa gila kyaa hai ai 'munir'
hai ahl-e-ilm ko tiraa tarz-e-bayaan pasand
vahshat mein basar hote hain ayyaam-e-shabaab aah
ye shaam-e-javaani hai ki saaya hai hiran kaa
وحشت میں بسر ہوتے ہیں ایام شباب آہ
یہ شام جوانی ہے کہ سایہ ہے ہرن کا
वहशत में बसर होते हैं अय्याम-ए-शबाब आह
ये शाम-ए-जवानी है कि साया है हिरन का

be-ilm shaairon kaa gila kyaa hai ai 'munir'
hai ahl-e-ilm ko tiraa tarz-e-bayaan pasand
sunti hai roz naghma-e-zanjir-e-aashiqaan
vo zulf bhi hai silsila-e-ahl-e-chisht mein
jis roz main gintaa huun tire aane ki ghaDiyaan
suraj ko banaa deti hai sone ki ghaDi baat
jab kabhi maski kaTori kyaa sadaa paidaa hui
karti hai angiyaa ki chiDiyaa chahchahaane ki havas
vird-e-ism-e-zaat kholaa chaahtaa hai ye girah
mere dil par daant hai allaah ki tashdid kaa
haath milvaate ho tarsaae gilauri ke liye
kaf-e-afsos na mal jaae kahin paanv mein
jhaankte raat ke garebaan se
ham ne sau aaftaab dekhe hain
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
raushni ho rahi hai kuchh mahsus
kyaa shab aakhir tamaam ko pahunchi
ab bhi barsaat ki raaton mein badan TuTtaa hai
jaag uThti hain ajab khvaahishein angDaai ki
ai soz-e-jaan-gudaaz abhi main javaan huun
ai dard-e-laa-ilaaj ye umr-e-shabaab hai
divaangi meri ke tahayyur mein shab-o-roz
hai halqa-e-zanjir se zindaan hama-tan-chashm