Shayari
ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
kuchh is qadar nahin safar-e-hasti-o-adam
gar paanv uThaaiye to ye arsa hai do qadam
کچھ اس قدر نہیں سفر ہستی و عدم
گر پانو اٹھائیے تو یہ عرصہ ہے دو قدم
कुछ इस क़दर नहीं सफ़र-ए-हस्ती-ओ-अदम
गर पाँव उठाइए तो ये अर्सा है दो क़दम

ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
jitnaa ki ye duniyaa mein hamein khvaar rakhe hai
itne to gunahgaar zamaane ke nahin ham
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa
apni to is chaman mein nit umr yunhi guzri
yaan aashiyaan banaayaa vaan aashiyaan banaayaa
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
yuun to maujud apne ghar mein hai
aadmi mustaqil safar mein hai
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
safar mein aise kai marhale bhi aate hain
har ek moD pe kuchh log chhuT jaate hain
muqaddas muskuraahaT maan ke honTon par larazti hai
kisi bachche kaa jab pahlaa sipaara khatm hotaa hai
bhaage the ham bahut so usi ki sazaa hai ye
ho kar asiir daabte hain raahzan ke paanv