Shayari
ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
namali aur na duudi hai na manshaari hai
nabz-e-bimaar-e-mohabbat ki hai raftaar judaa
نملی اور نہ دودی ہے نہ منشاری ہے
نبض بیمار محبت کی ہے رفتار جدا
नमली और न दूदी है न मंशारी है
नब्ज़-ए-बीमार-ए-मोहब्बत की है रफ़्तार जुदा

ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
jitnaa ki ye duniyaa mein hamein khvaar rakhe hai
itne to gunahgaar zamaane ke nahin ham
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa
apni to is chaman mein nit umr yunhi guzri
yaan aashiyaan banaayaa vaan aashiyaan banaayaa
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
vo log jo ki 'ishq ke ab tak asiir the
guzri kahaaniyon ke fasaane lage mujhe
ghaur se dekho mujhe aur phir kaho
kaise kaison ko mohabbat khaa gai
roz milne pe bhi lagtaa thaa ki jug biit gae
ishq mein vaqt kaa ehsaas nahin rahtaa hai
haath rakh kar jo vo puchhe dil-e-betaab kaa haal
ho bhi aaraam to kah duun mujhe aaraam nahin