Shayari
is havaa mein kar rahe hain ham tiraa hi intizaar
aa kahin jaldi se saaqi shisha o saaghar samet
pairahan luuTe maze teri ham-aaghoshi ke
ham karein chaak garebaan khudaa ki qudarat
پیرہن لوٹے مزے تیری ہم آغوشی کے
ہم کریں چاک گریبان خدا کی قدرت
पैरहन लूटे मज़े तेरी हम-आग़ोशी के
हम करें चाक गिरेबान ख़ुदा की क़ुदरत

is havaa mein kar rahe hain ham tiraa hi intizaar
aa kahin jaldi se saaqi shisha o saaghar samet
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal
kuchh TuuTe phaTe siine ko saath apne safar mein
kyaa vo bhi musaafir jo na rakkhe sui taagaa
misr ko chhoD ke aai hai jo hindustaan mein
mere yusuf ki zulekhaa tu kharidaar hai kyaa
'mushafi' karb-o-balaa kaa safar aasaan nahin
sainkaDon basra-o-baghdaad mein mar jaate hain
mahrum hai naama-daar-e-duniyaa
paani se tihi habaab dekhaa
aastin-e-mauj dariyaa se judaa hoti nahin
rabt teraa chashm se kyuun aastin jaataa rahaa
vo mujh se puchhte hain ki rote ho kis liye
dariyaa ko de ye qatra-e-naachiz kyaa javaab
husn-e-aaraasta qudrat kaa atiyya hai magar
kyaa miraa ishq-e-jigar-soz khudaa-daad nahin
tah mein dariyaa-e-mohabbat ke thi kyaa chiiz 'aziz'
jo koi Duub gayaa us ko ubharne na diyaa
khaama-e-qudrat ne dil kaa naam ye kah kar likhaa
har jagah is lafz ke maani badalte jaaeinge
uThte joban pe khil paDe gesu
aa ke jogi base pahaaDon mein