Shayari
bujhe hue dar-o-divaar dekhne vaalo
use bhi dekho jo ik umr yaan guzaar gayaa
dil ek aur hazaar aazmaaishein gham ki
diyaa jalaa to thaa lekin havaa ki zad par thaa
دل ایک اور ہزار آزمائشیں غم کی
دیا جلا تو تھا لیکن ہوا کی زد پر تھا
दिल एक और हज़ार आज़माइशें ग़म की
दिया जला तो था लेकिन हवा की ज़द पर था

bujhe hue dar-o-divaar dekhne vaalo
use bhi dekho jo ik umr yaan guzaar gayaa
ye haal hai mire divaar-o-dar ki vahshat kaa
ki mere hote hue bhi makaan khaali hai
nazar churaa ke vo guzraa qarib se lekin
nazar bachaa ke mujhe dekhtaa bhi jaataa thaa
hazaar baar khud apne makaan pe dastak di
ik ehtimaal mein jaise ki main hi andar thaa
miri nazar mein gae mausamon ke rang bhi hain
jo aane vaale hain un mausamon se Darnaa kyaa
ye lamha lamha zinda rahne ki khvaahish kaa haasil hai
ki lahza lahza apne aap hi mein mar rahaa huun main
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
main ne apni palkon par gham-kade sajaae hain
aarzu ke maatam mein sogvaar hasti hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ham haal to kah sakte hain apnaa pa kahein kyaa
jab vo idhar aate hain to tanhaa nahin aate