Shayari
dil ke rishte ajiib rishte hain
saans lene se TuuT jaate hain
aandhi chali to naqsh-e-kaf-e-paa nahin milaa
dil jis se mil gayaa vo dobaaraa nahin milaa
آندھی چلی تو نقش کف پا نہیں ملا
دل جس سے مل گیا وہ دوبارا نہیں ملا
आँधी चली तो नक़्श-ए-कफ़-ए-पा नहीं मिला
दिल जिस से मिल गया वो दोबारा नहीं मिला

dil ke rishte ajiib rishte hain
saans lene se TuuT jaate hain
main usi koh-sifat khuun ki ik buund huun jo
reg-zaar-e-najaf o khaak-e-khuraasaan se milaa
aankh jhuk jaati hai jab band-e-qabaa khulte hain
tujh mein uThte hue khurshid ki uryaani hai
ham anjuman mein sab ki taraf dekhte rahe
apni tarah se koi akelaa nahin milaa
ishq in zaalimon ki duniyaa mein
kitni mazlum zaat hai ai dil
inhin pattharon pe chal kar agar aa sako to aao
mire ghar ke raaste mein koi kahkashaan nahin hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
duur ham se hain vo to kyaa Dar hai
paas hai apne aarsi dil ki
jab bhi aql banaati hai pahlaa misraa
dil ko misra-e-saani honaa paDtaa hai
aql kahti hai dobaara aazmaanaa jahl hai
dil ye kahtaa hai fareb-e-dost khaate jaaiye
kisi ki yaad manaane mein iid guzregi
so shahr-e-dil mein bahut duur tak udaasi hai