Shayari
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
ye intizaar na Thahraa koi balaa Thahri
kisi ki jaan gai aap ki adaa Thahri
یہ انتظار نہ ٹھہرا کوئی بلا ٹھہری
کسی کی جان گئی آپ کی ادا ٹھہری
ये इंतिज़ार न ठहरा कोई बला ठहरी
किसी की जान गई आप की अदा ठहरी

vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
hudud-e-vaqt se baahar ajab hisaar mein huun
main ek lamha huun sadiyon ke intizaar mein huun
tamaam umr tiraa intizaar kar leinge
magar ye ranj rahegaa ki zindagi kam hai
tere aane kaa intizaar rahaa
umr bhar mausam-e-bahaar rahaa