Shayari
mujh ko ye dar-ba-dari tu ne hi bakhshi hai magar
jab chali ghar se to main naam tiraa le ke chali
maanaa ki main hazaar fasilon mein qaid huun
lekin kabhi khulus se mujh ko bulaa ke dekh
مانا کہ میں ہزار فصیلوں میں قید ہوں
لیکن کبھی خلوص سے مجھ کو بلا کے دیکھ
माना कि मैं हज़ार फ़सीलों में क़ैद हूँ
लेकिन कभी ख़ुलूस से मुझ को बुला के देख

mujh ko ye dar-ba-dari tu ne hi bakhshi hai magar
jab chali ghar se to main naam tiraa le ke chali
apne chehre ko badalnaa to bahut mushkil hai
dil bahal jaaegaa aaina badal kar dekho
banjaare hain rishton ki tijaarat nahin karte
ham log dikhaave ki mohabbat nahin karte
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
apni pahchaan ke sab rang miTaa do na kahin
khud ko itnaa gham-e-jaanaan se shanaasaa na karo
saail aayaa hai tire dar pe khudi ko kho kar
dekhnaa hai mujhe kyaa aaj 'ataa hotaa hai
ham jhulas to rahe hain ai jaanaan!
teraa suraj bhi to pighaltaa hai