Shayari
ham to apnon se bhi begaana hue ulfat mein
tum jo ghairon se mile tum ko na ghairat aai
baad-e-fanaa bhi hai maraz-e-ishq kaa asar
dekho ki rang zard hai mere ghubaar kaa
بعد فنا بھی ہے مرض عشق کا اثر
دیکھو کہ رنگ زرد ہے میرے غبار کا
बाद-ए-फ़ना भी है मरज़-ए-इश्क़ का असर
देखो कि रंग ज़र्द है मेरे ग़ुबार का

ham to apnon se bhi begaana hue ulfat mein
tum jo ghairon se mile tum ko na ghairat aai
na sikandar hai na daaraa hai na qaisar hai na jam
be-mahal khaak mein hain qasr banaane vaale
agar hayaat hai dekheinge ek din didaar
ki maah-e-eid bhi aakhir hai in mahinon mein
daulat nahin kaam aati jo taqdir buri ho
qaarun ko bhi apnaa khazaanaa nahin miltaa
ai sanam vasl ki tadbiron se kyaa hotaa hai
vahi hotaa hai jo manzur-e-khudaa hotaa hai
hamaare aib ne be-aib kar diyaa ham ko
yahi hunar hai ki koi hunar nahin aataa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
uThaa sakte nahin jab chuum kar hi chhoDnaa achchhaa
mohabbat kaa ye patthar is dafa bhaari ziyaada hai
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
sajda-e-ishq pe tanqid na kar ai vaaiz
dekh maathe pe abhi chaand numaayaan hogaa
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin