Shayari
tujh ko hai naaqidin se nafrat
tere kamre mein aaina kyon hai
ye peD hai kisi ki mohabbat ki yaadgaar
ai aandhiyo ye tum se giraayaa na jaaegaa
یہ پیڑ ہے کسی کی محبت کی یادگار
اے آندھیو یہ تم سے گرایا نہ جائے گا
ये पेड़ है किसी की मोहब्बत की यादगार
ऐ आँधियो ये तुम से गिराया न जाएगा

tujh ko hai naaqidin se nafrat
tere kamre mein aaina kyon hai
uf rahbaron mein aisaa koi raahbar nahin
jis ki nigaah zarre mein khurshid DhunD le
main sabr kar rahaa huun to zaalim hai taa'na-zan
us ko khabar nahin ki khudaa mere saath hai
kirdaar rahnumaa kaa mujhe lag rahaa hai yuun
talvaar jaise ho kisi paagal ke haath mein
use daulat kamaane ki havas thi
nazar se ab nazaara ho gai hai
aai vo rafta rafta taqaddus ki raah tak
phir yuun huaa ki niyyat-e-naaseh bigaD gai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mohabbat ne 'maail' kiyaa har kisi ko
kisi par kisi ko kisi par kisi ko
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
kyaa kahaa ishq jaavedaani hai!
aakhiri baar mil rahi ho kyaa
dil kaun hai ki us se kahein raaz-e-ishq ham
tere khayaal se bhi na ham guftugu karein