Shayari
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
subh-dam sehn-e-gulistaan mein sabaa ke jhonke
aatish-e-dard-e-mohabbat ko havaa dete hain
صبح دم صحن گلستاں میں صبا کے جھونکے
آتش درد محبت کو ہوا دیتے ہیں
सुब्ह-दम सह्न-ए-गुलिस्ताँ में सबा के झोंके
आतिश-ए-दर्द-ए-मोहब्बत को हवा देते हैं
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
bataa khud ko bhalaa kaise sanvaarun
mujhe gham aainon mein dikh rahaa hai
dard mein lazzat bahut ashkon mein raanaai bahut
ai gham-e-hasti hamein duniyaa pasand aai bahut
ye zindagi hai apni kabhi khush kabhi udaas
is kashmakash se mujh ko khudaayaa rihaai de