Shayari
doctor bhi ho gae enginēr bhi ho gae
gandumi hai rang agar to dusre darje ke hain
dard mein lazzat bahut ashkon mein raanaai bahut
ai gham-e-hasti hamein duniyaa pasand aai bahut
درد میں لذت بہت اشکوں میں رعنائی بہت
اے غم ہستی ہمیں دنیا پسند آئی بہت
दर्द में लज़्ज़त बहुत अश्कों में रानाई बहुत
ऐ ग़म-ए-हस्ती हमें दुनिया पसंद आई बहुत

doctor bhi ho gae enginēr bhi ho gae
gandumi hai rang agar to dusre darje ke hain
dilon kaa farsh bichhaa hai jidhar nigaah karo
tumhaaraa ghar bhi dilon kaa kabaaD-khaana hai
yuun kaanptaa hai shaikh khayaal-e-sharaab se
jaise kabhi ye Duub gayaa thaa sharaab mein
miyaan 'gul-sher' tum bhi to havaa ke rukh ko pahchaano
jahaan saaDi chali jaati hai phulkaari nahin jaati
Dar hai tote hi na khaa jaaein mujhe
naashpaati jaisaa sar rakhtaa huun main
aadmi se suluk duniyaa kaa
jaise anDaa talaa kare koi
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
azizo is ko na ghaDiyaal ki sadaa samjho
ye umr-e-rafta ki apni sadaa-e-paa samjho
is zamaane mein na ho kyunkar hamaaraa dil udaas
dekh kar ahvaal-e-aalam uDte jaate hain havaas
lamhe udaas udaas fazaaein ghuTi ghuTi
duniyaa agar yahi hai to duniyaa se bach ke chal