Shayari
sadaa-bahaar ho tum aur meri qismat ho
koi bahaar na thi is bahaar se pahle
N
Nazneen Begum Nazqasam khudaa ki ye vaaraftagi na thi mujh mein
kisi ke ishq-e-saliqa-shiaar se pahle
قسم خدا کی یہ وارفتگی نہ تھی مجھ میں
کسی کے عشق سلیقہ شعار سے پہلے
क़सम ख़ुदा की ये वारफ़्तगी न थी मुझ में
किसी के इश्क़-ए-सलीक़ा-शिआ'र से पहले
sadaa-bahaar ho tum aur meri qismat ho
koi bahaar na thi is bahaar se pahle
miTaa miTaa saa tasavvur hai naaz maazi kaa
hayaat-e-nau hai ab is umr-e-raaegaan se gurez
miri umr-e-guzishta ki haqiqat puchhne vaalo
mujhe vo umr umr-e-raaegaan maalum hoti hai
khalvat-e-naaz mein kuchh aur hi raunaq hoti
koi khalvat mein agar anjuman-aaraa hotaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
log kahte hain ki tum se hi mohabbat hai mujhe
tum jo kahte ho ki vahshat hai to vahshat hogi
jo kaan lagaa kar sunte hain kyaa jaanein rumuz mohabbat ke
ab honT nahin hilne paate aur pahron baatein hoti hain
ye zoraa-zori ishq ki thi fitrat hi jis ne badal Daali
jaltaa huaa dil ho kar paani aansu ban jaanaa kyaa jaane