Shayari
aurat apnaa aap bachaae tab bhi mujrim hoti hai
aurat apnaa aap ganvaae tab bhi mujrim hoti hai
koi to aae khizaan mein patte ugaane vaalaa
gulon ki khushbu ko qaid karnaa koi to sikhe
کوئی تو آئے خزاں میں پتے اگانے والا
گلوں کی خوشبو کو قید کرنا کوئی تو سیکھے
कोई तो आए ख़िज़ाँ में पत्ते उगाने वाला
गुलों की ख़ुशबू को क़ैद करना कोई तो सीखे

aurat apnaa aap bachaae tab bhi mujrim hoti hai
aurat apnaa aap ganvaae tab bhi mujrim hoti hai
shabnam tumhaare sahn mein roi tamaam raat
lekin har ek phuul kaa chehra nikhar gayaa
main ne suraj chaand sitaare tere naam likhe hain
jag mein jitne phuul hain saare tere naam likhe hain
ham apne aap mein gum jaa rahe the
kisi guftaar ne chaunkaa diyaa thaa
mohabbat ki hamein fursat nahin thi
jamaal-e-yaar ne chaunkaa diyaa thaa
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
arsa-e-zulmat-e-hayaat kaTe
ham-nafas muskuraa ki raat kaTe
jhaankte raat ke garebaan se
ham ne sau aaftaab dekhe hain
khairaat mein de aayaa huun jiiti hui baazi
duniyaa ye samajhti hai ki main haar gayaa huun