Shayari
dil unhein deinge magar ham deinge in sharton ke saath
aazmaa kar jaanch kar sun kar samajh kar dekh kar
dosti ko buraa samajhte hain
kyaa samajh hai vo kyaa samajhte hain
دوستی کو برا سمجھتے ہیں
کیا سمجھ ہے وہ کیا سمجھتے ہیں
दोस्ती को बुरा समझते हैं
क्या समझ है वो क्या समझते हैं

dil unhein deinge magar ham deinge in sharton ke saath
aazmaa kar jaanch kar sun kar samajh kar dekh kar
jab zikr kiyaa main ne kabhi vasl kaa un se
vo kahne lage paak mohabbat hai baDi chiiz
vo haath mein talvaar liye sar pe khaDe hain
marne nahin deti mujhe marne ki khushi aaj
jo ahl-e-zauq hain vo lutf uThaa lete hain chal phir kar
gulistaan kaa gulistaan mein bayaabaan kaa bayaabaan mein
koi yahaan se chal diyaa raunaq-e-baam-o-dar nahin
dekh rahaa huun ghar ko main ghar hai magar vo ghar nahin
nuuh baiThe hain chaarpaai par
chaarpaai pe nuuh baiThe hain
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
kaanTe se bhi nichoD li ghairon ne bu-e-gul
yaaron ne bu-e-gul se bhi kaanTaa banaa diyaa
aaina khud bhi sanvartaa thaa hamaari khaatir
ham tire vaaste tayyaar huaa karte the
ye vaqt kaifiyaat se bhartaa nahin kabhi
ye jaam ikhtiyaar nahin kar rahaa huun main
saaf kahiye ki pyaar karte hain
ye nigaahon kaa qaul-e-mubham kyaa
jo ghair the vo isi baat par hamaare hue
ki ham se dost bahut be-khabar hamaare hue