Shayari
Tiis uTThi thi kahin zer-e-zamin aur idhar
shahr kaa shahr makaanon se nikal aaya thaa
ye vaqt kaifiyaat se bhartaa nahin kabhi
ye jaam ikhtiyaar nahin kar rahaa huun main
یہ وقت کیفیات سے بھرتا نہیں کبھی
یہ جام اختیار نہیں کر رہا ہوں میں
ये वक़्त कैफ़ियात से भरता नहीं कभी
ये जाम इख़्तियार नहीं कर रहा हूँ मैं

Tiis uTThi thi kahin zer-e-zamin aur idhar
shahr kaa shahr makaanon se nikal aaya thaa
dil par pahan liyaa hai vo gajre ke jaisaa shakhs
lekin gale kaa haar nahin kar rahaa huun main
ye chal-chalaav main ne diyaa hai use 'munir'
duniyaa pe inhisaar nahin kar rahaa huun main
aavaaz ko ghubaar nahin kar rahaa huun main
maahaul daagh-daar nahin kar rahaa huun main
dariyaa se to muaahida tai paa gayaa magar
kashti kaa eatibaar nahin kar rahaa huun main
mujh ko faqat shajar ki numu se hai vaasta
sahraa ko saaya-daar nahin kar rahaa huun
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
aaina khud bhi sanvartaa thaa hamaari khaatir
ham tire vaaste tayyaar huaa karte the
zindagi sundar ghazal hai dosto
zindagi ko gungunaanaa chaahiye
saadgi o purkaari be-khudi o hushyaari
husn ko taghaaful mein jurat-aazmaa paayaa
main ab har shakhs se uktaa chukaa huun
faqat kuchh dost hain aur dost bhi kyaa
vo habib ho ki rahbar vo raqib ho ki rahzan
jo dayaar-e-dil se guzre use ham-kalaam kar lo