Shayari
dil unhein deinge magar ham deinge in sharton ke saath
aazmaa kar jaanch kar sun kar samajh kar dekh kar
khudaa ke Dar se ham tum ko khudaa to kah nahin sakte
magar lutf-e-khudaa qahr-e-khudaa shaan-e-khudaa tum ho
خدا کے ڈر سے ہم تم کو خدا تو کہہ نہیں سکتے
مگر لطف خدا قہر خدا شان خدا تم ہو
ख़ुदा के डर से हम तुम को ख़ुदा तो कह नहीं सकते
मगर लुत्फ़-ए-ख़ुदा क़हर-ए-ख़ुदा शान-ए-ख़ुदा तुम हो

dil unhein deinge magar ham deinge in sharton ke saath
aazmaa kar jaanch kar sun kar samajh kar dekh kar
jab zikr kiyaa main ne kabhi vasl kaa un se
vo kahne lage paak mohabbat hai baDi chiiz
vo haath mein talvaar liye sar pe khaDe hain
marne nahin deti mujhe marne ki khushi aaj
jo ahl-e-zauq hain vo lutf uThaa lete hain chal phir kar
gulistaan kaa gulistaan mein bayaabaan kaa bayaabaan mein
koi yahaan se chal diyaa raunaq-e-baam-o-dar nahin
dekh rahaa huun ghar ko main ghar hai magar vo ghar nahin
nuuh baiThe hain chaarpaai par
chaarpaai pe nuuh baiThe hain
jo log Darte hain raaton ko apne saae se
unhin ko din ke ujaalon mein Darte dekhaa hai
main girdaabon mein ghumungaa main tufaanon se khelungaa
lab-e-dariyaa mujhe Dar Dar ke mar jaanaa nahin aataa
sar pe dastaar jab salaamat hai
dil mein aati hui anaa se Dar
ab e'tibaar pe ji chaahtaa to hai lekin
puraane khauf dilon se kahaan nikalte hain
ye main thaa yaa mire andar kaa khauf thaa jis ne
tamaam umar di tanhaai ki sazaa mujh ko
hain hamaare jitne leader sabhi bhuTTe chor kyon hain
koi chaara-saaz hotaa koi gham-gusaar hotaa