Shayari
didaar-e-zul-jalaal pe aamaada ho gayaa
kyaa hausla nigaah-e-dil-e-naa-tavaan kaa thaa
turbat mein bhi na sone diyaa chain se mujhe
saaya miri zamin pe kis aasmaan kaa thaa
تربت میں بھی نہ سونے دیا چین سے مجھے
سایہ مری زمین پہ کس آسماں کا تھا
तुर्बत में भी न सोने दिया चैन से मुझे
साया मिरी ज़मीन पे किस आसमाँ का था

shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa