Shayari
meri tanhaai ki pagDanDi par
mere ham-raah khudaa rahtaa hai
manzar-e-sarv-o-saman yaad aayaa
phir se gum-gashta vatan yaad aayaa
منظر سرو و سمن یاد آیا
پھر سے گم گشتہ وطن یاد آیا
मंज़र-ए-सर्व-ओ-समन याद आया
फिर से गुम-गश्ता वतन याद आया

mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
pahli cigarette pahlaa khvaab aur pahlaa ishq
in tinon mein ek bhi mujh ko yaad nahin
umr fariyaad mein barbaad gai kuchh na huaa
naala mashhur ghalat hai ki asar kartaa hai
yaad-e-mizhgaan mein miri aankh lagi jaati hai
log sach kahte hain suuli pe bhi niind aati hai
yaksaan kabhi kisi ki na guzri zamaane mein
yaadash-ba-khair baiThe the kal aashiyaane mein