Shayari
ghar lauT ke roeinge maan baap akele mein
miTTi ke khilaune bhi saste na the mele mein
kitne dinon ke pyaase honge yaaro socho to
shabnam kaa qatra bhi jin ko dariyaa lagtaa hai
کتنے دنوں کے پیاسے ہوں گے یارو سوچو تو
شبنم کا قطرہ بھی جن کو دریا لگتا ہے
कितने दिनों के प्यासे होंगे यारो सोचो तो
शबनम का क़तरा भी जिन को दरिया लगता है

ghar lauT ke roeinge maan baap akele mein
miTTi ke khilaune bhi saste na the mele mein
zindagi bhar ke liye ruuTh ke jaane vaale
main abhi tak tiri tasvir liye baiThaa huun
havaa khafaa thi magar itni sang-dil bhi na thi
hamin ko shama jalaane kaa hausla na huaa
divaaron se mil kar ronaa achchhaa lagtaa hai
ham bhi paagal ho jaaeinge aisaa lagtaa hai
tu is tarah se mire saath bevafaai kar
ki tere baa'd mujhe koi bevafaa na lage
tumhaare shahr kaa mausam baDaa suhaanaa lage
main ek shaam churaa luun agar buraa na lage
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
main dastaras se tumhaari nikal bhi saktaa huun
ye soch lo ki main rasta badal bhi saktaa huun
ab bhi khaDi hai soch mein Duubi ujyaalon kaa daan liye
aaj bhi rekhaa paar hai raavan siitaa ko samjhaae kaun
ham baDe ahl-e-khirad bante the ye kyaa ho gayaa
aql kaa har mashvara divaana-pan lagne lagaa
rafaaqaton ko zaraa sochne kaa mauqaa do
ki is ke baa'd ghane jangalon kaa rasta hai