Shayari
muddaton baad jo is raah se guzraa huun 'qamar'
ahd-e-rafta ko bahut yaad kiyaa hai main ne
dair o kaaba se jo ho kar guzre
dost ki raahguzar yaad aai
دیر و کعبہ سے جو ہو کر گزرے
دوست کی راہ گزر یاد آئی
दैर ओ काबा से जो हो कर गुज़रे
दोस्त की राहगुज़र याद आई

muddaton baad jo is raah se guzraa huun 'qamar'
ahd-e-rafta ko bahut yaad kiyaa hai main ne
harf aane na diyaa ishq ki khuddaari par
kaam naakaam tamannaa se liyaa hai main ne
kisi ki raah mein kaanTe kisi ki raah mein phuul
hamaari raah mein tufaan hai dekhiye kyaa ho
gham ki tauhin na kar gham ki shikaayat kar ke
dil rahe yaa na rahe azmat-e-gham rahne de
yuun na milne ke sau bahaane hain
milne vaale kahaan nahin milte
jis qadar jazb-e-mohabbat kaa asar hotaa gayaa
ishq khud tark o talab se be-khabar hotaa gayaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
jo ghair the vo isi baat par hamaare hue
ki ham se dost bahut be-khabar hamaare hue
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe