Shayari
harf aane na diyaa ishq ki khuddaari par
kaam naakaam tamannaa se liyaa hai main ne
muddaton baad jo is raah se guzraa huun 'qamar'
ahd-e-rafta ko bahut yaad kiyaa hai main ne
مدتوں بعد جو اس راہ سے گزرا ہوں قمرؔ
عہد رفتہ کو بہت یاد کیا ہے میں نے
मुद्दतों बाद जो इस राह से गुज़रा हूँ 'क़मर'
अहद-ए-रफ़्ता को बहुत याद किया है मैं ने

harf aane na diyaa ishq ki khuddaari par
kaam naakaam tamannaa se liyaa hai main ne
kisi ki raah mein kaanTe kisi ki raah mein phuul
hamaari raah mein tufaan hai dekhiye kyaa ho
gham ki tauhin na kar gham ki shikaayat kar ke
dil rahe yaa na rahe azmat-e-gham rahne de
yuun na milne ke sau bahaane hain
milne vaale kahaan nahin milte
jis qadar jazb-e-mohabbat kaa asar hotaa gayaa
ishq khud tark o talab se be-khabar hotaa gayaa
qadam uThe bhi nahin bazm-e-naaz ki jaanib
khayaal abhi se pareshaan hai dekhiye kyaa ho
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
kyaa bhuul paD gai hai raste sanbhaalne mein
khud ko bhi yaad rakhnaa dushvaar ho rahaa hai
phir vahi kunj-e-qafas hai vahi sayyaad kaa ghar
chaar din aur havaa baagh ki khaa le bulbul
paron ko khol de zaalim jo band kartaa hai
qafas ko le ke main uD jaaungaa kahaan sayyaad
khuli hai kunj-e-qafas mein miri zabaan sayyaad
main maajraa-e-chaman kyaa karun bayaan sayyaad