Shayari
mai pi jo chaahe aatish-e-dozakh se tu najaat
jaltaa nahin vo uzv jo tar ho sharaab mein
Q
Qayem Chaandpuridard-e-dil kyun-ki kahun main us se
har taraf log ghire baiThe hain
درد دل کیوں کہ کہوں میں اس سے
ہر طرف لوگ گھرے بیٹھے ہیں
दर्द-ए-दिल क्यूँ-कि कहूँ मैं उस से
हर तरफ़ लोग घिरे बैठे हैं
mai pi jo chaahe aatish-e-dozakh se tu najaat
jaltaa nahin vo uzv jo tar ho sharaab mein
kahtaa hai aaina ki hai tujh saa hi ek aur
baavar nahin to laa main tire ru-ba-ru karun
gandumi rang jo hai duniyaa mein
meri chhaati pe muung daltaa hai
iraad kar na paDh ke miraa khat ki ye tamaam
be-rabtiyaan hain samra-e-hangaam-e-ishtiyaaq
koi din aage bhi zaahid ajab zamaana thaa
har ik mohalle ki masjid sharaab-khaana thaa
TuuTaa jo kaaba kaun si ye jaa-e-gham hai shaikh
kuchh qasr-e-dil nahin ki banaayaa na jaaegaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
aayaa hai koi pursish-e-ahvaal ke liye
pesh aansuon ki aap bhi saughaat kijiye
aashiyaanon mein na jab lauTe parinde to 'sadid'
duur tak takti rahin shaakhon mein aankhein subh tak
aaj maghmum kyuun ho ai 'taabaan'
kuchh to bolo ki maajraa kyaa hai